Chaar Haseen Musibatein – Episode 1
Parivar Me Chudai
This story is part of the Chaar Haseen Musibatein series Yeh kahaani hain ek ladke Ajay ki, 26-27 saal ki umar hain. Aage ki kahaani Ajay ki jubaani suniye. Main Ajay, 2 saal pehle hi Archana se shadi huyi hain. Archana mujhse 1-2 saal chhoti hain. Yeh mere aur meri biwi ki kahaani hain par kahani ki shuruaat apne sasur Ramakant Ji se karta hoon. Ramakant Ji ek bahut hi dhaarmik aadmi hain. Sarkari naukri me hain. Magar wo pehle itna dhaarmik nahi the. Suna hain ki wo dhaarmik tab bane jab unko ek ke baad ek do betiya paida ho gayi. Kaiyo ki tarah unki bhi tamanna thi ki unko bhi ek ladka ho. Jab dusra bachcha bhi ladki nikli to achanak se upar wale me aastha kuchh jyada hi badh gayi. Alag alag dhaarmik sthaano par matha tekne lage is ummeed me ki agli baar ladka hi ho. Ramakant ki biwi ladka ladki me koi fark nahi karti thi. Wo do ladkiyo ko paida karne ke baad thoda beemar rahne lagi thi aur thak chuki thi aur aage phir se maa nahi banana chaahti thi. Magar Ramakant Ji ki jid thi ki wo ek baar phir se ladke ka try kare. Ramakant ki biwi ko baat maanani padi. Magar tabiyat kharaab rahti thi isliye kuchh saal wait karna pada. Mere pitaji Ramakant Ji ke achchhe dost the. Mere pita ka achchha khasa khaandaani karobaar tha. Meri mummy bhi Ramakant Ji ki biwi ki pakki saheli thi. Jab Ramakant Ji ko do ladkiya ho gayi to naukri pesha Ramakant Ji ko bhi chinta huyi aur mere pita ji se vaada le liya ki wo apne dono beto ki shadi unki dono betiyo se karenge. Mera ghar me mummy papa ke alawa ek bada bhai Vinod bhi hain. Is tarah bachpan me hi mere bade bhai aur meri shadi ke liye ladkiya pasand kar li gayi. Ramakant Ji ki badi beti Vandana ki shadi mere bade bhai Vinod ke saath aur main Ajay, meri shadi Ramakant ki dusri beti Archana se pakki ho gayi. Magar yeh baat tab sirf Ramakant Ji aur mere pita ko hi pata thi. Ramakant Ji ki thodi tension kam huyi ki unki dono betiyo ki shadi ka intejaam unhone apne hi dost ke ghar me kar liya hain. Jab Ramakant Ji ki biwi ki tabiyat thodi sudhri to Ramakant Ji ne apne teesre bachche ki taiyari ki. Ramakant Ji ki biwi ki tabiyat bigadati gayi aur bachcha paida karte huye unki marne jaisi haalat ho gayi. Ramakant Ji ko teesri baar bhi ladki hi paida huyi. Ramakant Ji ki biwi ne apni saheli yaani meri meri mummy ko apne paas bulaya aur kaha ki wo unki teesri beti ko god le le kyu ki meri mummy ko bhi ek beti chahiye thi jab ki mere papa teesri santaan nahi chahate the. Meri mummy ne dekha ki us waqt Ramakant Ji ki biwi ki haalat achchhi nahi hain isliye yuhi unse jhoothha vaada kar diya ki wo unki teesri beti ko god le legi. Mummy ko nahi pata tha ki Ramakant Ji ki biwi asli me chal basegi. Ek dudh muhi bachchi ko chhod kar uski maa chali gayi. Meri maa ko sadma laga. Unhone ek marte insaan se ek vaada kiya tha. Meri mummy ne god wali baat mere papa ko batayi. Papa ne unko apna khud ka diya vaada bataya ki unhone dono beto ki shadi ka vaada pehle hi Ramakant Ji se kar diya hain. Par meri mummy apna vaada nahi todna chaahti thi. Waise bhi navjaat bachchi ko paalne waali maa ghar me nahi thi. Maa ne us bachchi ko god le liya. Mujhe yaad hain tab me 4 saal ka tha aur meri mummy ek chhoti bachchhi ko god me lekar ghar aayi aur mujhe aur mere bhai Vinod ko kaha ki wo hamari bahan hain. Us umra me humein to yahi laga ki wo hamari real bahan hain aur maa ne usko janam diya hain. Apni dono badi bahno Vandana aur Archana ki tarah teesri bachchi ka naam Pooja rakha gaya. Teeno bahno ke naam ka ek hi meaning tha. Main aur mere bade bhai Vinod ko chhoti bahan Pooja mil gayi. Dusri taraf hum dono ki hone wali biwiya Vandana aur Archana Ramakant Ji ke ghar me badi ho rahi thi. Hum paancho bachche is baat se anjaan the ki Pooja ke asli maa baap kaun hain. Jo bhi tha Ramakant Ji ki ek chinta aur kam ho gayi. Apna beta paida karne ki chaah Ramakant Ji me abhi bhi zinda thi. Unhone ek vidhwa aurat se shadi kar li taaki unko ek beta ho jaye. Vandana aur Archana ko ek sauteli maa mil gayi. Magar filmy sauteli maa ki tarah wo un par julm nahi karti thi. Khair Ramakant ji phir se baap banne wale the. Ramakant ji ki praarthna is baar bhi kaam nahi aayi aur unke ghar phir ek beti paida huyi. Ramakant ji tut gaye aur faisla kiya ki ab aur koi bachcha paida nahi karenge. Ramakant Ji ne apni chhoti beti ka naam Shraddha rakha. Halanki duniya ki najro me Shraddha unki teesri beti thi kyu ki teesri beti Pooja ko to wo mere mummy papa ko god de chuke the magar unki chaar betiya thi Vandana, Archana, Pooja aur Shraddha. Yeh to tha hum dono parivaar walo ka introduction aur history. Ek taraf mere mummy papa ke teen bachche, Vinod, Ajay aur god li beti Pooja. To dusri taraf Ramakant Ji ke saath unki dusri patni aur teen betiya Vandana, Archana aur Shraddha. Ramakant ji ki dono badi betiya Vandana aur Archana samajhdaar nikli aur apne pairo par khadi ho gayi. Meri hone wali biwi Archana ne LLB kiya aur vakil banne ke liye practice shuru kar di. Badi beti Vandana ne MBBS kiya aur resident doctor thi. Dusri taraf mere bade bhai Vinod aur maine pitaji ka karobaar join kar liya tha. Padhai me humein jyada kuchh karna nahi tha. Mere ghar me padhai ka itna mahual nahi tha aur iska asar hamari chhoti bahan Pooja par bhi pada. Pooja ki asli badi bahno ne to khub padhai ki par Pooja hamare saath rah kar padhai me thodi fisaddi rah gayi. Pooja ke shauk the selfie lena, ghumna firna, saj sawar kar rahna aur mauj masti karna. Pooja dikhne me bahut khubsurat thi aur films dekhne ka shauk tha aur wo heroine bhi banna chaahti thi, haalanki usko acting aati nahi thi. Ramakant ki sabse chhoti ladki Shraddha bhi unke ghar me apvaad(sabse alag) thi. Dono badi bahno ki viprit wo thodi padhai me kamjor thi. Magar wo jyotishi banna chaahti thi jo wo aage jaakar ban bhi gayi. Shraddha apne pita ki tarah bahut hi dharmik thi, aur bahut saatvik thi. Ladko se nafrat karti aur duniya uske liye moh maya thi. Wo zindagi bhar shaadi bhi nahi karna chaahti thi.