Chalo, Aadivaasi Ban Jaaye – Episode 1
Group Sex
This story is part of the Chalo, Aadivaasi Ban Jaaye series Mere kuchh young reader ne apni fantasy share ki aur kuchh ne apni aap biti. Un sab ko mila kar ek kaalpanik kahaani banaane ka try kiya hain. Mere boyfriend Kavi ka isme kaafi saara yogdaan hain to uska bhi shukriya. Yeh kahaani hain ek bade shahar aur usme rahne waale young generation ki khuli soch ki. Kahaani ki shuruaat college life se shuru karti hoon. Do dost hain Aarav aur Saad, school ki dosti ab college ke first year me bhi jaari thi. Aarav ek bahut hi handsome sa dikhne wala ladka hain aur jis par school me hi nahi ab college me bhi ladkiya dosti karna chahti hain. Aarav ek achchhe bade ameer ghar ka ladka hain. Saad ek joint family me rahta hain aur uski family bhi padhi likhi unche khyaalo ki hain. Aarav aur Saad ka ek dusre ke ghar aana jaana bhi hain. Isi beech Saad ki hum-umra (same age) ki cousin sister Nauhid bhi Aarav ko pasand karne lagi. Nauhid pahle girls school me padhti thi aur study me bahut achchhi hain. Ab usne admission Saad aur Aarav ke hi college me le liya. Nauhid ne Aarav aur Saad ka group join kar liya taaki wo jyada samay Aarav ke saath rah paaye, haalanki usne yeh feeling abhi tak kisi ko batayi nahi thi. Jis tarah Aarav college ke sabse handsome ladko me shumaar tha usi tarah college me ek ladki Avni ka sabse khubsurat ladkiyo me jikra hota tha. Kaafi ladke Avni ke peechhe the, aur yeh baat usko bhi pata thi isliye wo bahut tej thi aur ladko ko hadka diya karti thi aur bhaga deti thi. Aarav aur Saad dono ka hi dil Avni par aa gaya tha. Achchhe dost hone ke khaatir dono ne hamesha ki tarah sikka uchhaal kar faisal kiya ki dono me se kaun Avni ko apni girl friend banayega. Sikka Aarav ke favor me gir gaya. Magar pareshani yeh thi ki Avni jaisi ladki ko approach kaise kare. Aarav aur Saad ne faisla kiya ki wo log Saad ki cousin sister Nauhid ki madad lenge. Nauhid ko jab pata chala ki Aarav jise wo khud chahti hain, wo to Avni ko pasand karta hain to uska dil toot gaya. Nauhid achchhe dil ki thi aur usne yeh sweekar kar liya aur Aarav ki madad ke liye usne Avni se pahle dosti karni shuru ki. Phir dheere dheere usne Avni ko bhi apne group me shaamil kar liya. Ab un chaar dosto ki jodi ban gayi thi Aarav, Avni, Saad aur Nauhid. Aarav aur Avni saath hamesha chipke rahte the. Saad aur Nauhid ka dil thoda jarur toota par dono ne ek achchhe insaan hone ke naate unka poora saath diya. Jaldi hi unke group me ek aur member shaamil hone wala tha. Apne school ka topper rah chuka Naitik, jo padhne me tej tha aur isi vajah se wo Nauhid ki taraf aakarshit ho gaya tha aur Nauhid se friendship karne ke liye wo unke group me shaamil ho gaya. Saad aur Aarav ko waise hi apne group me kisi padhaaku ladke ki jarurat thi, wo ab Naitik puri kar sakta tha. Kuchh ek tarfa pyaar jaari tha par kisi ne abhi tak sweekar nahi kiya tha. Aarav aur Avni ne us saal college ka beauty contest bhi jeet liya tha. Saare friends khule vicharo ke the aur khul kar baatein karte the aur gaaliya bolna aur sex ke baare me khul kar baat karna unki aadat me shumaar tha. First year khatm hote hote unki dosti bahut gahri ho gayi thi. Saath me ghumna firna mauj masti karna sab chalu tha. Result ke aane ke baad Aarav ne Avni se apne pyaar ka ijhaar finally kar diya tha aur Avni ne bhi Aarav ko accept kar liya. Saad aur Nauhid to bahut pahle hi apne man ki ichchha daba chuke the. College ke teen saal aese hi nikal chuke the aur is beech Nauhid aur Naitik ki beech bhi pyaar panapane lag gaya tha. Final year me aate aate Naitik ne bhi sab dosto ke saamne Nauhid se apni bhaavnao ka ijhaar kar diya tha. Nauhid ne bhi Naitik ke pyaar ko apnaya aur is tarah un paanch dosto me se chaar ki to aapas me hi jodi ban chuki thi. Bacha tha sirf Saad, jo Avni ko ek tarfa chahta tha. Nauhid ke papa doctor the aur ammi NGO me kaam karti thi. Khule vichaaro ke the to unhone bhi Nauhid aur Naitik ke rishte par koi aapatti nahi ki thi. Naitik ke ghar me sirf uski maa thi jo lecturer thi to unhone bhi yeh rishta sweekar kar liya. College khatm hote hi sabhi dost apne apne kaam me lag gaye par aaj bhi unka milna jhulna nahi chhoota tha aur saath me kaafi time spent karte the. Saad ke office me ek talaakshuda ladki thi, naam tha Sana. Jiska pati uski shaadi ke 6 mahine me hi chhod kar foreign chala gaya tha. Sana ki umra Saad se 1-2 saal badi thi par Sana ki maturity, samajhdaari aur khubsurti dekhkar Saad usko chaahne laga tha. Saad ne kuchh mahino baad hi Sana ko propose kar diya. Sana ne us se time maanga par dosti jaari thi. Ab un panch dosto ko apna sixth saathi mil gaya tha. Aarav-Avni, Naitik-Nauhid, Saad-Sana. In teeno ki jodiyo ka time achchhe se chal raha tha. Shaadi ke liye abhi time tha to wo log apne kaam ke baad apni hectic life ko enjoy karna chahte the isliye saath me ghumne firne bhi jaate the. Aese hi ek baar wo log ghumne ke liye gaye aur raat ko hotel me stay kiya tha. Waha wo log saath me baithh kar baatein kar rahe the. Unki baaton ka mudda aksar relationship, sex, love se juda hua hi hota tha. Naitik: “Sana, tum itna beatiful aur intelligent ho, samajh nahi aata tumhaare chutiye husband ne tumhe talaak kyu diya!” Sana: “Usko apne office me koi pasand aa gayi thi, maine shaadi bachaane ke liye usko bola ki thheek hain tum us ladki se milte raho aur jo karna hain karo, main bhi tumhaari tarah kisi ko pakad lungi par shaadi continue rakhte hain,par wo nahi maana.” Aarav: “Tumhara kahi threesome ka plan to nahi tha?” Sana: “Shaayad, waise bura idea nahi tha.