Maya Ka Saya – Episode 1
Desi Chudai
This story is part of the Maya Ka Saya series Yeh story hain 26 saal ke ladke Mohit ki, jiski zindagi me ek aesa daur aaya ki jisne uski zindagi ko badal diya. Aage ki kahaani Mohit ki jubaani suniye… Movie shuru hone me kuchh hi minutes bache thhe aur mujhe taiyar hokar jaldi se theatre pahuchana tha. Movie chhutne ka dar nahi tha, dar tha Dimple ke naraj hone ka. Dimple pichhle do saal se meri girlfriend hain. Waise hum ek dusre ko 4 saal se jaante hain aur saath college me padhe hain. Naam hi ki tarah uske gaalo par dimple padte hain jo mujhe bahut pasand hain aur uski khubsurti ko chaar chand lagaate hain. Dimple ko ek minute bhi movie ka chhutna pasand nahi hain, yaani mere late pahuchane ka matlab tha Dimple ke gusse ko sahna. Wo waise hi meri laparwahi aur latelatifi se bahut pareshan hain. Main jaldi se taiyar hokar theater par pahuch gaya, ticket to online pahle hi le liye the aur Dimple pahle hi waha ticket liye mera intejar kar rahi thi. Mujhe laga aaj phir daat padegi par mujhe dekh Dimple muskurayi to mujhe achchha laga. Hum dono theater me pahuche. Abi bhi movie ke pahle ke title chal rahe the to khairiyat thi ki movie nahi chhuti. Yeh lagbhag har Sunday ka hamara plan tha. Pahle movie, phir baahar lunch karna aur phir thodi shopping aur ghumna. Saal bhar pahle tak to hum dono college me the par ab dono job karte hain. Hamari 4 saal ki dosti hain aur 2 saal pahle hi hum relationship me aaye the. Abhi shaadi me thoda time hain aur hum career par dhyaan de rahe hain. Movie dekhkar bheed ke saath baahar nikal rahe the ki tabhi meri najar ek ladke par padi. Kuchh jana pahchana sa chehra tha. Uski bhi najar mujh par padi aur hum dono ki smile nikal gayi. Wo mere school time ka dost Daksh tha. Usne achchhi khaasi body bana li thi par chehra pahchan me aa hi gaya tha. Humko mile huye 5-6 saal ho gaye the, jab se maine school chhoda tha us se phir kabhi milna nahi hua tha. Hum dono 5 saal tak saath padhe the aur gahri dosti thi. Ek dusre ko itne saal baad dekh hum gale lage aur baat karne lage. Tabhi mera dhyaan Daksh ke peechhe khadi ek muskuraati huyi khubsurat ladki par gaya. Wo ladki mujhe hi dekh kar muskura rahi thi aur meri najre us par tik gayi. Daksh ne dekha aur introduction karaya. Daksh: “Yeh Maya hain, meri girl friend” Maine Maya ko hello bola aur usne apna haath milaane ke liye aage badhaya to maine bhi haath milaya. Usne kuchh jyada hi jor se mera haath dabocha tha. Maine apna haath chhudaya aur Daksh aur Maya ko Dimple se introduce karwaya. Itne saalo baad milne ke baad humein baatein karni thi par saath mein haamari girl friends bhi thi, jo shayad bore ho jati. Daksh ne mera program puchha aur maine bataya ki main aur Dimple lunch ke liye ja rahe hain to wo bhi join kar sakte hain. Maine darte huye Dimple ki taraf dekha ki kahi wo naaraj na ho jaye par wo apne gaal ke dimple dikhaate huye sirf muskurayi. Daksh maan gaya aur hum charo log ek restaurant me pahuche. Is beech main barabar notice kar raha tha ki Maya mujhe lagatar dekh rahi hain aur uske chehre par ek smile chipki huyi thi. Table ke ek taraf main aur Dimple the to dusri taraf Daksh aur Maya. Mere saamne Daksh tha aur hum baaton me mashgul the ki itne time kaha the aur kya kiya. Beech beech me main jab bhi side me dekhta to Maya ko mujhe hi ghurta hua paata. Aesa nahi tha ki main hi bol raha tha jis kaaran Maya mujhe dekh rahi ho, dusre log bhi bol rahe the. Jab koi dusra bol raha hota tab bhi Maya mujhe hi dekh rahi hoti. Maya jab bhi bolti to sirf meri taraf dekh kar hi bol rahi thi. Mujhe bada ajeeb lag raha tha. Main itna handsome bhi nahi tha ki koi ladki pahli hi mulaakaat me mujhe hi dekhti rahe. Main thheek thhaak dikhta hoon ki koi ladki mujhe pasand kare par pahli mulaakat me itna gaur se dekhna kuchh samajh nahi aaya. Humne lunch kar liya par main Maya ki vajah se kuchh asahaj mahsus kar raha tha. Khana khate waqt bhi Maya mujh par jyada hi meharban thi aur mujhe serve karne ki koshish kar rahi thi. Khana khane ke baad main Daksh se ijaajat lekar Dimple ke saath shopping par jana chahta tha. Maya ne jab yeh suna to usne hamare saath shopping par aane ko bola. Main kuchh kahta uske pahle hi Dimple ne haa bol diya. Main Maya ki maujudgi se thoda uncomfortable mahsus kar raha tha par usko ab thoda aur sahan karna tha. Hum charo shopping ke liye pahuche. Girls aur boys section alag the to main Daksh ke saath alag chala gaya aur Dimple bhi Maya ke saath chali gayi. Daksh ne kaha ki usko kuchh lena nahi hain aur wo thodi der me ek jaruri kaam nipta kar aayega. Main ab akela tha. Maine ek shirt pasand kiya aur change room ki taraf gaya. Darwaja khol kar andar gaya aur jaise hi peechhe mudkar darwaja band karne laga to dekha Maya mere thheek peechhe thi aur andar ghus kar darwaja band kar liya. Main aascharya se bas uski shakal dekhta rah gaya. Maya ne apne saath laya kapda hanger par rakh diya aur apne top ke button kholne lagi. Mujhe laga kahi agar Maya ne chillana shuru kar diya to sab log mujhe hi gunahgaar samjhenge ki main ladki ke saath change room me aa gaya. Iske pahle ki Maya mere saamne hi apna top nikaalti, maine darwaja khola aur baahar aa gaya. Mujhe kuchh samajh nahi aa rha tha ki Maya aesa kyu kar rahi hain, Wo mere itne saal baad mile dost ki girl friend hain. Main ab baahar aakar aese kaune me aakar dusre kapde dekhne laga jaha logo ki jyada najar nahi jaati. Mujhe laga ki yaha main surakshit rahunga par main galat tha. Do najuk gaure patle haath meri dono bagal ke neeche se aage aaye aur meri chhaati ko thaam liya. Meri peethh par kisi ladki ke najuk boobs takraaye. Dimple bhi kabhi kabhi mujhe peechhe se aese aakar chipakati hain to mujhe yeh ahsaas yaad tha. Ek baar to mujhe laga ki Dimple hi hogi par wo public place me aesa nahi karti hain. Main ek jhatke me us haath se peechha chhudaaate huye palta to dekha ki wo Maya thi. Main do kadam us se dur ho gaya.