Pados mein rehne wali bhabhi ke sath chudai
Bhabhi Ki Chudai
Hello friends, I am devil. Main Bargarh, Odisha se hu. Age 28 hai, height 5.4 inch, aur lund 5 inch. Maine yaha pe bahut si stories padhi hai. Main apni doosri real story likh raha hu, jo ki 5 saal purani hai. Ye story meri aur ek pados mein rehne wali bhabhi ki hai, jo ki ek kirane ki dukan pe mili thi. Unka naam Shakti (Name change) hai. Tab unki age 23, height 4’8″, size 30-28-30 hoga. Ab kahani pe aate hai. Mujhe ek private company mein job mila tha, aur meri ek naye shehar mein joining hui thi Balangir. Pehle din jab joining hui to office gaya. Fir wahi se shaam ko office ke ek staff ke sath uske room pe gaya, aur unke sath rehne laga jab tak apne liye ek room na mil gaya. Fir waise hi chalta raha. 5-6 maheene beet gaye. Uske baad mere roommate ne apni family laane ko socha. To main apne liye ek room dhoondh ke rehne lag gaya emergency mein pasand na hote hue bhi. Fir waise hi chalta raha. Fir ek din main kirane ki dukan pe gaya, to unse poocha yaha pe koi room rent pe milega kya. To unhone bola mil to jayega magar time lagega, poochna padega. To maine bola: Theek hai, agar milega to zara bolna. Ye bol ke samaan leke chala aaya. Ek din samaan laane gaya tha aur waha pe ek bhabhi ko dekha. Main usko dekhta hi reh gaya. Fir wo bhabhi apna samaan leke chali gayi. Uske baad waise hi din guzarta gaya. Fir ek din usi bhabhi ko dobara dekha to maine nazre chura ke dekhta raha. Wo bhabhi ne bhi mujhe dekha aur muh mod diya gusse se. To main apna samaan leke chala aaya. Fir doosre din firse mil gayi bhabhi, to maine unhe dekh ke ek smile pass kar di. Theek wahi time pe ek aadmi daaru peeke gaana gaate hue jaa raha tha. Fir jab wo aage gaya, to uska cycle ladkhada kar gir gaya. Bhabhi ye dekh ke hasne lagi zor se. Jaise bhabhi ko maine dekha haste hue, to main bhi unko dekh ke smile karne laga. Fir bhabhi ne bhi mujhe dekh ke smile pass ki. Fir aise hi din nikalte gaye. 1-2 haafte dono ek-doosre ko dekh ke haste the. Ab wo din aa gaya jab mujhe bhabhi ka number mil gaya. Hua aisa, ki sunday ke din tha, aur main subha-subha hi kirane ki dukan ki aur chala gaya. Sukan wala pooja kar raha tha, maine socha main wait kar leta hu. Fir leke chala jaunga. Theek usi wakt wo bhabhi bhi aah gayi samaan lene ke liye. Wo naha ke aayi thi shayad. Baal poore geele the, to main unko dekhta hi reh gaya. Theek usi waqt wo dukan waale ne ghanti bajayi pooja karte time. To mujhe hosh aaya. Bhabhi bhi mujhe dekh ke smile pass kar rahi thi, aur mujhe pooch liya. Bhabhi: Kaha kho gaye the? Main: Bas waise kuch yaad aa gaya to sochne lag gaya. Bhabhi: Kya karte ho aap? Main: Job karta hu yahi pe. Bhabhi: Aap kaha se ho? Main: Bargarh se. Theek usi waqt dukan waale ki pooja khatam ho gayi, aur wo samaan dene lag gaya. To maine theek usi waqt room mila kya bol ke pooch liye dukan waale uncle ko. To unhone bola: Main bhool gaya poochne ke liye. Theek usi wakt dukan waale uncle ne un bhabhi ko pooch liya: Aapke waha pe room khaali hai kya? Bhabhi ne bola: Haa, ho sakta hai. Magar pooch ke bataungi. Fir bhabhi ne mujhse number maang liya, aur pooch ke bata doongi boli. Main: Zara jaldi pooch ke batana. Kuch 2-3 din baat ek unknown number se call aayi to. Main: Hello kon? Bhabhi: Main hu jo room ke liye number diye the. Main: Haa bhabhi ji boliye. Bhabhi: Abhi to khali nahi hai filhaal. 1 maheene baat khaali ho jayega. Main: Thank you bhabhi. Bhabhi: Abhi kaha pe rehte ho? Main: Ek room mein hi reh raha hu, magar thoda theek nahi lag raha hai. Bhabhi: Aisa kya. Main: Haa bhabhi. Bhabhi: Kahan pe job karte ho? Main: ABC bank. Bhabhi: Haa. Fir aise hi baat hoti rahi 15-20 minutes. Ab subha unka message aa jata tha good morning ka. Fir baat hoti rehti der raat tak bhi. Ek din unka status dekh ke bol diya maine- Main: Aaj to qayamat dhaa rahi ho. Bhabhi ne smile wala emoji bhej diya. To fir maine poocha liya: Aaj kuch special hai kya? Fir unhone bataya: Aaj mera birthday hai. Maine wish kiya aur poocha: 12 baje se celebration ho gaya hoga aapka? Par kuch reply nahi aaya. Thodi der baad call aaya bhabhi ka. Bhabhi: Hello. Main: Hello bhabhi chup kyun ho gayi? Bhabhi: Kya bolu? Main: Raat ko celebrate hua na? Bhabhi: Kiske sath celebrate karu? Main: Aapke husband ke sath. Bhabhi: Wo to so gaye aur abhi tak wish nahi kiya. Main: Sorry bhabhi. Bhabhi: Tum kyun sorry bol rahe ho? Fir bhabhi friendly baat karne lagi. Sab kuch share karne lagi dheere-dheere. Apni personal life ke baare mein bhi share karne lagi. Hum thoda close hote gaye. Fir wo dina aa gaya ghar dekhne jaane ka. Bhabhi boli: Kal 11 baje ke aas-paas aa jana. To maine bol diya aise hi: Kya khilaogi? Fir bhabhi boli: Jo bhi bologe milega. Tumhe khaana kya hai bolo? Main bola: Bas aise hi mazaak mein pooch liya. Kal aa raha hu dekhne ke liye. Fir main subha office nikal gaya aur 10:30 ko call kiya bhabhi ko, aur poocha- Main: Abhi aau kya? Bhabhi boli: Abhi nahi thodi der baad aao. 10-15 minutes chodh ke. Theek 10:45 ko main unke ghar pe pahunch gaya. Fir doorbell bajayi to bhabhi aayi gate kholne. Main to bas unko dekhta hi rehe gaya. Bhabhi: Devil kya hua? Main: Kuch nahi bhabhi, bas aapko dekh ke thoda kho gaya tha. Bhabhi: Kya pagal ho gaye ho kya? Main: Nahi bhabhi, aaj to aap pari jaisi lag rahi ho. Bhabhi: Itni bhi tareef mat karo. Main: Kyun na karu bhabhi. Dk baat bolu? Bhabhi: Bolo. Main: Gussa to nahi karogi, promise karo. Bhabhi: Nahi karungi. Main: Agar aap married nahi hoti to abhi aapko propose kar deta. Bhabhi: Sacchi mein kya? Kaise propose karte bina gulab ke? Main: Itni khoobsurat gulab agar saamne ho to us gulab ki kya zaroorat mere ko. Bhabhi: Sacchi? Fir bhabhi boli: Chalo ab ghar dekhte hai. Unke upar stair pe wo room tha. Bhabhi aage-aage chali, main peeche peeche chala. Fir bhabhi ne gate khola aur andar gayi. Ek room, ek kitchen, aur bathroom tha. Mujhe to pasand aah gaya. Fir maine bhabhi ko poocha- Main: Bike kaha pe rakhunga raat ko? Wo to dikkat ho gaya mere ko.