The dirty picture – Episode 13
Desi Chudai
This story is part of the The dirty picture series Pichhle episode mein aapne padha ki Shirley ne chhupkar Riya aur Vikrant ki baat sun li ki kaise wo Shirley ko dhokha dekar Sharad ko fasana chaahte hain. Ab aage… Agli subah Shirley Sharad ke ghar pahuch gayi. Shirley ko apne ghar dekh kar Sharad ko aascharya hua. Phir Shirley bina bulaaye hi ghar ke andar chali aayi. Shirley: “Vikrant ke kahne par Riya tum par pregnant karne ka aarop laga kar tumhe fasana chahti hain.” Sharad: “Maine to suna tha ki yeh idea tumhara tha, taaki main film ka direction beech mein naa chhodu!” Pichhli baar yeh idea Shirley ne hi Vikrant ko sujhaya tha. Shirley apni najre nahi mila paayi. Shirley: “Haa mera idea tha tumhe blackmail karwaane ka, magar is baar wo tum par sach mein case karne waley hain, sirf isliye taaki film ko publicity miley” Sharad: “Aur tum mujhe Vikrant ke khilaaf jaakar kyu bata rahi ho? Tum to Vikrant ke bachche ki maa banne wali ho, us se shadi karne waali ho!” Shirley: “Main pregnant hoon iske jimmedaar tum bhi ho. Tumhaari aankho ke saamne us Rihan ne mujhe chod kar pregnant kar diya tha. Tum chaahte to usko rok sakte the!” Sharad: “Rihan ne tumhe pregnant kiya to tum Vikrant se shadi kyu kar rahi ho?” Shirley: “Rihan ready nahi hain, uske badle Vikrant shaadi ko maan gaya tha. Magar ab pata chala usne mujhse jhootha vada kiya hain” Sharad: “To tumhe meri madad chaaahiye?” Shirley: “Main tumhari madad karne aayi hoon” Sharad: “Agar Vikrant tumse shadi kar raha hota to bhi kya tum meri madad karte huye mujhe yeh sab bataati? Nahi na? Tum swarthi ho, tum musibat mein aayi isliye Vikrant ke khilaf gayi aur mere paas aayi ho” Shirley: “Main swarthi sahi, phir bhi tumhaare kaam ki baat batane aayi hoon” Sharad: “Mujhe yeh baat pehle se hi pata hain….. Baahar aa jao Riya” Andar bedroom se Riya baahar aayi. Shirley: “Riya, tum yaha?” Riya: “Maine Sharad ko pehle hi sab bata diya hain ki kaise Vikrant usko fasaana chaahta hain!” Sharad: “Shirley tumse kahi jyada meri vafaadar to yeh Riya hain. Isliye humne shaadi karne ka faisla kiya hain” Shirley: “Tum iska bharosa kar rahe ho? Isne hum dono ke hi peethh mein chhuraa bhaunkaa hain. Yeh Riya to Vikrant se pregnant bhi hain aur yeh dono shadi karne waley hain” Riya: “Main Vikrant se nahi Sharad se pregnant hoon. Kal raat hi Vikrant ne nashe mein sab sach bak diya ki tumhari tarah usne mujhse bhi shadi ka jhoothha vaada kiya hain” Sharad: “Mujhe pata hai Shirley tum yaha kyu aayi thi. Tumney socha Vikrant na sahi Sharad ko phir se pakad lu. Ab tum kahi ki nahi rahi” Riya: “Abhi tum jao yaha se, mera aur Sharad ka chudai ka program hain” Sharad: “Ab tum chaahe to Vikrant ki umra bhar rakhail ban kar raho, kyuki wo shadi to karega nahi tumse” Shirley: “Vikrant to paraya hain, magar hum dono ne to kabhi aapas mein pyaar kiya hain. Tumse aese bartaav ki ummeed nahi thi” Sharad: “Pyaar agar sachcha hota to tum director ka bistar garm karne wali baat mujhe bata deti. Now get lost.” Hatash hokar Shirley waha se Vikrant ke ghar ke liye nikli. Idhar Riya aur Sharad baat karne lage. Sharad: “Wo Shirley peethh mein chhura bhaunkne ki kya baat kar rahi thi?” Riya: “Mujhe tumhaare saath dekh jalti hain bas. Apne paapo ki saja mil rahi hain usko. Tum naha lo jao” Sharad nahaane gaya magar usko kuchh yaad aaya ki Shirley ne Riya ki pregnancy ki baat bhi nikaali thi. Wo phir se baahar aaya taaki Riya ko puchh paaye. Riya kisi se dabu huyi aawaj mein phone par baat kar rahi thi aur uski baatein Sharad chupke se sunne laga. Wo Vikrant se baat kar rahi thi. Riya: “Vikrant main ab tumhaari baaton mein nahi aaungi. Main Sharad ke against case nahi karungi, kyu ki Medical test hote hi pata chal jayega mere pet mein tumhaar bachcha hain na ki Sharad ka. Pakdi to main hi jaaungi” Sharad baahar aakar Riya ke saamne aaya to Riya ke hosh ud gaye aur usne call disconnect kiya. Riya: “Wo .. wo main .. ek scene ka audition de rahi thi!” Sharad: “Ab tum aur mujhe bewkuf nahi bana sakti. Tumse main shadi nahi karne wala. Jaane se pehle kam se kam aur kya sach hain bata do” Riya: “Main Vikrant ki baaton mein aakar yeh sab kar rahi thi, usne mujhse shadi ka vaada kiya tha. Usne hi us buddhe director se jhoothh bulwaya ki Shirley ne uske saath chudwaya tha” Sharad: “Tumhe yeh sab pata tha?” Riya: “Maine hi to jhoothh bolkar tum dono ko ek dusre ke khilaaf bhadkaati thi. Sirf Vikrant ke liye karti thi” Sharad: “Tumhaare saath bhi kuchh achchha nahi hoga ab” Riya: “Us kamine Vikrant ne mujhe fasaane ki taiyari kar li thi. Mujhe pregnant karne ka baad ab wo mujhe apne clients ke saath sulaana chaahte hain. Mera istemaal karna chaahta hain bas” Idhar Shirley Vikrant ke ghar pahuchi us se sawaal kiya. Shirley: “Mujhe sach jaanna hain, tum mujhse shadi karne bhi waley ho ya nahi?” Vikrant: “Nahi. Magar tum meri girl friend ki tarah yaha rah sakti ho. Iske badle mere jo client aayenge unko tumhe khush karna padega. Bolo manjoor hain?” Shirley: “Waise bhi mere paas aur koi opton nahi bacha hain” Vikrant: “Tum achchhe se taiyar ho jana. Raat ko mere clients aane waley hain. Us Riya ne to dhokha de diya, varna us se yeh karwane wala tha” Shirley apne kamre mein chali gayi. Uske paas aur koi chara bhi nahi tha. Wo apne ghar laut nahi sakti thi kyuki unki marji ke bina wo ghar se bhaag kar heroine banne aayi thi aur un logo ne naata tod liya tha. Iski naa koi saving bachi aur na koi sahara tha. Idhar apne ghar par Sharad pareshan raha ki usne logo ki baaton mein aakar Shirley ke saath kitni jyadati ki thi. Uske dimaag mein wo saari ghatnaaye chal rahi thi. Wo sharab peeye ja raha tha aur itni pee li ki behosh hi ho gaya.