Udhaar Ki Muskaan – Episode 5
Desi Chudai
This story is part of the Udhaar Ki Muskaan series Ab tak aapne padha ki jab Muskaan apna top nikaal kar bra mein Paras ke upar chadh ragad khaane lagi tabhi paas mein lete Mayur ne aankh khol di. Sharm ke maare Muskaan bistar ke side mein chhup gayi. Ab aage ki kahaani Mayur ki jubaani jaari hain… Paras ki aawaaj is beech lagatar aa rahi thi jaha wo Muskaan ko saantavana de raha tha. Paras: “Itna kya sharma rahi hain! Mayur bhi to hamara dost hi hain, aesa kya gajab ho gaya hain” Maine phir apni aankhein khol di. Paras karvat badal kar bistar ke neeche hi dekh raha tha jaha leti huyi Muskaan apne kapde thheek kar rahi thi jo mujhe dikhayi nahi de raha tha. Thodi der baad Paras ne haath badha kar Muskaan ko uthhne ko bola. Muskaan ne apne kapde pahan liye the aur mujhse najre milte hi sharma ke usne apni najre hata li. Muskaan bahut jyada sharma gayi thi aur palat kar darwaaje ki taraf jaane lagi magar Paras ne lete lete hi uski kalai pakad kar usko api taraf khinch liya. Muskaan phir se bistar ke kinaare par aakar giri aur baithh gayi. Paras ne Muskaan ki kamar ko pakadate huye ghumaya aur apne upar se hote huye bistar ke beech la patka aur leta diya. Muskaan ek baar phir mere aur Paras ke beech leti huyi thi magar meri taraf uski peethh thi. Main uski nangi kamar ka hissa aur nanga kandha aur baaju dekh pa raha tha. Uske baad hum so gaye. Haalanki mujhe kaafi der tak neend nahi aayi thi. Subah aankh kholi to mere saamne Muskaan ka sundar chehra tha. Subah uthhte hi uska haseen chehra dekhne ko mil gaya to laga ki aaj ka din achchha hoga. Paras bistar par nahi tha. Muskaan apni chhaati bistar par tikaaye ulta leti thi. Ek haath sharir ke peeche to dusra aage meri taraf tha. Uski gauri patli ungliya mere chehre se kuchh hi inch duri par thi. Mera chehra khisakata hua barbas hi aage badh raha tha aur mere honthh Muskaan ki ungliyo ke karib aa gaye. Maine jyada nahi socha aur himmat karte huye apne honthho se Muskaan ki ungliyo ko halka sa chum liya. Achchha laga to dusri baar bhi chuma. Tabhi Paras bedroom ke darwaaje par aa gaya. Meri najar us par padi aur usne apni ek ungli apne gaal par rakh mujhe ishara kiya ki mujhe Muskaan ke gaal par kiss karna chhaahiye. Paras ke lagatar hanste huye ishaare chaalu the aur maine apna sharir uthhaya aur apne honthh soyi huyi Muskaan ke gaalo ki taraf badhaaye. Maine Muskaan ko uske gaalo par pahla kiss kiya, sirf 1 second ka chumman tha. Mere poore badan mein ek thhandak si chadh gayi thi aur main upar se neeche poora pura hil chuka tha. Baad mein mujhe bahut bura bhi laga is tarah soti huyi Muskaan ko chumna nahi chaahiye tha. Muskaan jab uthhi to normal ho chuki thi aur mujhse kal raat ki tarah sharma nahi rahi thi aur baat kar rahi thi. Main jab washroom mein naha raha tha tab shayad Paras ne us se baat ki thi aur usko samjhaya tha ki kal raat ki ghatna koi badi ghatna nahi thi. Is beech Paras ne apni ek aur chaal chal di thi. Paras: “To phir Muskaan, tu Mayur ki classes kab se le rahi hain” Mayur: “Kaisi classes?” Paras: “Dance classes” Mayur: “Mujhe kya karna!” Muskaan: “Tujhe seriously dance claases ki jarurat hain. Dekha maine kal disco mein tu kaisa dance kar raha tha. Teri girl friend ke saath aese dance karega to wo bhaag jaayegi” Mayur: “Magar meri girl friend hain kaha?” Muskaan: “Wo mujh par chhod de. Tu bas college ki kisi ladki ka naam bata aur main teri madad karungi. Naam nahi pata to koi baat nahi kal college mein mujhe dikha de, baaki main sambhaal lungi. Kal shaam se agle kuchh din main teri dance classes lungi” Ab us bholi Muskaan ko kya pata ki main to uske hi peechhe hoon aur wo mere liye baahar koi ladki dhundhne ki baat kar rahi thi. Agle din college mein Muskaan ne Paras ko bhulaate huye mujhe college ke alag alag hisso ki sair karwaayi aur mujhe alag alag ladkiya dikhaayi ki mujhe unme se kaun si pasand hain. Kai ladkiyo ko usne mere liye khud pasand karke reject bhi kar diya tha. Poora college ghum liye aur last mein Muskaan bade hi utsaah ke saath meri pasand puchhne ke liye mujhe alag se lekar aayi. Muskaan: “Ab bata Mayur, us ladki ka naam jo tujhe pasand hain” Mayur: “Muskaan” Yeh kehte huye main chup ho gaya magar Muskaan apna chehra dheeme upar neeche karte huye haa mein sir hilaate mujhe utsaahit karne lagi ki main us ladki ka naam le lu jo meri jubaan par hain aur mujhe pasand hain. Muskaan: “Haa, main sun rahi hoon, sharma mat aur bol us ladki ka naam” Muskaan besabra huye ja rahi thi mere muh se kisi ladki ka naam sunne ko jab ki main to us ladki ka naam le chuka tha “Muskaan”. Muskaan: “Bol na! Itna bhaav kya khaa raha hain, itni ladkiya dikhayi koi pasand nahi aayi kya! Isi college mein padhti hain na teri pasand ki ladki?” Mayur: “Haa” Muskaan: “To naam bata” Mayur: “Muskaan” Muskaan: “Haa, aage bhi to bol” Mayur: “Muskaan” Muskaan: “Sirf Muskaan par hi teri gaadi atak gayi. Bol daal wo naam” Main bas sharm ke maare muskurata hi raha aur thodi besabri ke baad Muskaan kuchh soch mein dub gayi. Muskaan: “Us ladki ka naam bhi Muskaan hi hain? Main to is naam ki kisi ladki ko nahi jaanati is college mein. Main jaanti hoon kya usko?” Mayur: “Tu to usko roj dekhti hain” Muskaan: “Kaha?” Mayur: “Mirror mein” Muskaan ke chehre par ab tak to jo utsukta aur paheli thi usne badal kar halke gusse ka roop le liya aur apna ek haath usne merii baaju par maar diya. Muskaan: “Kya faaltu majaak kar raha hain. Mera itna time faaltu mein waste kar diya. Tuney abhi tak koi ladki dhundhi hi nahi hain matlab” Mayur: “Bol to raha hoon tera naam” Muskaan: “Main teri help karna chaha rahi hoon yaha. Seriously meri baat maan to Kriti ya Roma mein se kisi ek ko chun le. Tere liye wo thheek rahegi” Maine naa mein gardan hilaayi aur ungli se Muskaan ki taraf ishara kiya aur usko apni pasand bata di.